Home Accommodation Food Transport Patient Token Live Darshan
हम मंदिर के सेवादार नहीं हैं। हम बस भक्तों की मदद करते हैं दर्शन पाने में।

🩺 Patient Token & Shyam Jal - Complete Guide

Mahant Ji ke darshan aur abhimantrit shyam jal paane ki puri jaankari.

Patient Present at Mandir

Patient khud Manauna Dham aakar Mahant Ji se darshan le sakte hain

Read Details

Patient at Home

Patient ghar par hai? Family member le jaaye

Read Details

1️⃣ Jab Patient Khud Manauna Dham mai Present Ho

✅ Yeh sabse best option hai!
Patient ko seedhe Mahant Ji ke haathon se Abhimantrit Shyam Jal milta hai aur ashirwad milta hai.

Process Step-by-Step:

Step 1: Manauna Dham Pahunchein

Mandir ke main gate se andar jayein. Patient Token counter mandir ground ke andar hai.

Step 2: Patient Token waali Line Mein Lagein

Patient khud line mein lage. Token milne par aapka number aa jaayega.

Step 3: Mahant Ji Ka Darshan

Token number aane par Mahant Ji ke paas jayein. Unhe apni problem batayein.

Step 4: Abhimantrit Shyam Jal

Mahant Ji apne haathon se Abhimantrit Shyam Jal denge aur ashirwad denge.

⏱️ Line Speed: Patient token line fast hoti hai general line se.
💧 Shyam Jal Source: Sirf official shop se hi milta hai mandir ground ke andar.
⚠️ Important:
• Patient Token ke liye advance booking nahi hoti
• Patient ka khud present hona zaroori hai
• Family ko token nhi milta

Mahant Ji Ki Availability:

💡 Tip: Agar aap door se aa rahe hain, toh Wednesday-Thursday avoid karein. Baki din aane se pehle humse hotel, transport aur food ka intezaam kar lein.

2️⃣ Jab Patient Ghar Par Ho (Present Na Ho)

Agar patient khud Manauna Dham nahi aa sakta, toh:

Hamse Baat kare

Ham aapki na aa pane ki samasya ka hal likalenge

Jal page pr jaakr whatsapp number le

Koi Family member ko bheje

Family member aakar general line se Shyam Jal le jaaye aur mahant ji ka ashirvaad le jaye

Read Process

Family Member Aakar Shyam Jal Le Jaaye:

⚠️ Important Points:
• Patient present na ho toh Patient Token NAHI milta
• General Shyam Jal Line mein lagna hota hai
• General line lambi hoti hai (patient token se)
• Mahant Ji ka personal darshan nahi hota

Family Member Visit Process:

  • Manauna Dham mandir ground ke andar jayein
  • Shyam Jal lijiye(official shop se)
  • hyam Jal leke Mahant Ji se milne waali general line me lage
  • Shyam Jal ghar le jaayein patient ke liye
🏨 Hamare Services Use Karein (NO EXTRA CHARGE):
Agar aap family member hain aur Manauna Dham aa rahe hain, toh hum aapki madad karenge bina extra cost ke:
  • Hotel/Dharamshala Booking
  • Food Delivery
  • Shyam Jal Information
  • Local Transport

📋 Hamari Services (No Extra Cost)

Bhakton ko Manauna Dham mein asani ho, isliye hum yeh services provide karte hain:

✅ Website Se Booking Par Koi Extra Charge Nahi!
Hotels aur restaurants ke actual rates hi milte hain.

⚡ Zaroori Baatein (Dhyan Se Padhein)

❌ Patient Token System:

  • Patient ka khud present hona mandatory hai
  • Advance booking nahi hoti
  • Proxy/family member ko patient token nahi milta
  • Wednesday & Thursday Mahant Ji unavailable

💧 Shyam Jal Official Source:

  • Sirf mandir ground ke andar ek hi official shop hai
  • Bahar se koi bhi Shyam Jal fake ho sakta hai
  • Patient token waalon ko Mahant Ji apne haath se dete hain
  • General line walon ko official shop se milta hai

🏨 January-February Peak Season:

  • Hotels jaldi full ho jaate hain
  • Advance booking highly recommended
  • Last minute booking mushkil ho sakti hai
  • Abhi book karein agar plan confirmed hai

❓ Frequently Asked Questions

Q: Kya patient token advance book kar sakte hain?

A: Nahi. Patient token advance book nahi hota. Patient ko mandir mein aakar hi line mein lagna hota hai.

Q: Mahant Ji Wednesday-Thursday kyun nahi baithte?

A: Yeh unke regular off days hain. Inn dino patient token system available nahi hota.

Q: Agar main Wednesday ya Thursday aa jaun?

A: Aap general Shyam Jal line mein lag sakte hain. Lekin Mahant Ji ka personal darshan nahi hoga.

Q: Hotel booking ke liye advance payment chahiye?

A: Haan, booking confirm karne ke liye advance payment liya jaata hai. Details hotel page par available hain.

Q: Food delivery mandir ke andar milta hai?

A: Nahi. Food delivery aapke hotel/dharamshala ya mandir ke bahar designated area mein milti hai.

Ready to Plan Your Visit?

Book your hotel, food, and transport in advance for a hassle-free darshan experience

Book Hotel Now Shyam Jal

Have questions? Contact us